Ghazal by ibn insha
Kal chaudvein ki raat thi, Shab bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha ke yeh chaand hai, kuch ne kaha chehra tera
Hum bhi wahin maujood thay, hum se bhi sab poocha kiye
Hum hans diye hum chup rahe, manzoor tha perda tera
Is shehr may kis se milein hum se toh chootein mehfilein
Her shaqs tera naam le, her shaqs deewana tera
Tu bawafa, tu meharbaan,, hum aur tujh se budgumaan
Hum ne toh poocha tha zara, yeh wasf kyun tehra tera
kooche ko tere chod kar, jogi hi ban jaayein magar
Jungle tere, perbat tere, basti teri, sehra tera
Hum per yeh saqti ki nazar? hum hain faqeer reh-guzar
Rasta kabhi roka tera, daaman kabhi thaama tera
Haan haan teri soorat haseen, laikin tu aisa bhi nahi
Is shaqs ke ashyaar se shahra howa kya kya tera
Bedard sunni ho toh chal, kehta hai kya achchi ghazal
Aashiq tera, ruswa tera, shaayar tera, insha tera.