Ranjish hi sahi.
Ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa
Kuchh to mere pindaar-e-mohabbat kaa bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujhko manaane ke liye aa
pahle se maraasim na sahii, phir bhii kabhii to
rasm-o-rah-e-duniaa hi nibhaane ke liye aa
kis kis ko bataayenge judaai ka sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai, to zamaane ke liye aa
ek umar se huuN lazzt-e-giryaa se bhii mahruum
ae raahat-e-jaaN mujhko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khushfaham ko tujh se haiN ummiideN
yah aakhirii shamaeN bhii bujhaane ke liye aa