Dil ki baat labon per laa ker ab tak hum dukh sehtey hain
Hum ne suna tha is basti may dilwaale bhi rehtey hain
Beet gaya saawan
ka mahina mausam ne nazrein badlein
Laykin in pyasi
aankhon se ab tak aansoon behtey hain
Ek hamein aawara
kehna koi bada ilzaam nahi
Dunya waale dil
waalon ko aur bahut kuch kehtey hain
Jinn ki khatir
shehar bhi chod’ha jinn ke liye badnaam howey
Aaj wohi humse begaaney begaaney se rehtey hain
Woh jo abhi is rah guzar se chaak garaibaan guzra tha
Uss aawara deewane ko jaalib jaalib kehtey hain.
By -- Habib jaalib
<--Back -- Next-->