عذرِ واماندگی، اے حسرتِ دل
نالہ کرتا تھا جگر یاد آیا
سادگی ہاۓ تمنا، یعنی
پھر وہ نیرنگِ نظر یاد آیا
کوئی ویرانی سی ویرانی ہے
دشت کو دیکھ کے گھر یاد آیا
آہ وہ جرأتِ فریاد کہاں
دل کے پردے میں جگر یاد آیا
میں نے مجنوں پہ لڑکپن میں اسد
سنگ اُٹھایا تھا کہ سر یاد آیا
Phir muhjhe deeda-e-tarr yaad aaya
Phir muhjhe deeda-e-tarr yaad aaya
.Dil jigar tashna faryaad aaya
Dum liya tha na qayamat ne hunuz
Phir tera waqt-e-safar yaad aaya
Uzr-o-amaangi aye hasrat-e-dil
Nalaah karta tha jigar yaad aaya
Saadgi haye tamanna, yaani
Phir woh neer nag-e-nazar yaad aaya
Koi veerani si veerani hai
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
Aah woh jurrat-e-faryaad kahaan
Dil ke parde mein jigar yaad aaya
Mein ne majnoon pe ladakpan asad
Sang uthaya tha ke sarr yaad aaya