Saturday, 20-04-2024, 3:10:33 PM
Hello Guest


By:-Syed Rizwan Bareed

غزل؛ حمد؛ نعت؛ مرثیہ، رباعی؛ مثنوی؛ نظم پڑھیں
اردو کتب مفت میں ڈاوءن لوڈ کریں
New section "Marsiya, nohe, manqibat" has been added to our urdu-forum.

Site home | Register now | Log in | RSS

Find me the best price flight! Find me the best price hotel! Find me the best travel package!

1)Read hamd, naats, marsiye, nohe, manqibat, love poetry, sad poetry, urdu jokes on urdu forum section. -- 2)Download urdu-poetry books from Downloads section. -- 3)urdu.ucoz.com is in its beginning stage, so keep visiting the site to find more new stuff.

Index of Great Poets and their Great Poetry

فہرست عظیم شعرأ و شاعرى ؛ مشہور غزلیں

  1. Abdul Hameed A'dam - عبدلحمید عدم
  2. Abdullah Rokdi - عبدالله روکڑی
  3. Ahmed Faraaz - احمد فراز
  4. Allama Iqbal - علامہ اقبال
  5. Bahadur shah zafar - بہادر شاہ ظفر
  6. Habeeb jaalib - حبیب جالب
  7. Hasrat Mohani - حسرت موہانی
  8. ibn-e-insha - ابن انشاٴ
  9. Jigar Muradabaadi - جگر مرادآبادی
  10. kaifi Aazmi - کیفی آعظمى
  11. Meer taqi Meer - میر تقی میر
  12. Mirza Ghalib - مرزا غالب
  13. Momin khan momin - مومن خان مومن
  14. Muneer Nayazi - منیر نیازی
  15. Muzaffar waarsi - مظفر وارثی
  16. Naasir kaazmi - ناصر کاظمی
  17. Nida fazli - ندا فاضلی
  18. Parveen shaakir - پروین شاکر
  19. Shahryaar - شہریار
  20. Shakeel Badayuni - شکیل بدایونی
  21. Sufi tabassum - صوفی تبسّم
  22. Syed Rizwan Bareed - سید رضوان برید
Site menu

غزل؛ حمد؛ نعت؛ مرثيہ، رباعی؛ مثنوی؛ نظم پڑھیں - اردو کتب مفت میں ڈاوءن لوڈ کریں , اردو۔ یوکوز۔ کام پر


اپنی شاعڕې؛ غزل ؛ حمد؛ نعت؛کہانیاں وغیرہ اس ویب-سائٹ پر شاٴیع (پوسٹ) کرنا بہت آسان ہے
١) اس ویب-سائٹ پر رجسٹر کریں
٢) "اردو-فورم" سیکشن پر جایئں
٣) اپنی شاعڕې شاٴیع (پوسٹ) کریں

Just 3 simple steps to post your poetry on urdu.ucoz.com
1) Register on urdu.ucoz.com
2) Go to "Urdu-Forum" section.
3) Post your poetry.


What would you like to read more? - آپ ان میں سب سے زیادہ کیا پڑھنا پسند کریں گے؟
Total of answers: 6676
Main » 2013 » January » 21 » Ek Aarzoo
Ek Aarzoo
3:15:17 PM

ek aazo by allama iqbal


Ek Aarzoo
Duniyaan ki mehfilon se ukta gaya hoon yarab
kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho
shorish se bhaagta hoon, dil dhoondta hai mera
Aaisa sukoot jis per taqreer bhi fida ho
marta hoon khamoshi per yeh aarzoo hai meri
daman mein koh ke ek chota sa jhonpada ho
aazaad fikr se hoon uzlat mein din guzaron
duniyan ke gham ka dil se kaanta nikal gaya ho
lizzat surood ki ho chidiyon ke chehchahe main
chashme ki shorishon mein baja sa baj raha ho
gul ki kali chatak kar paigham de kisi ka
saghir zara sa goya mujhko jahaan numa ho
ho haath ka sarhana, sabze ka ho bichona
sharmaye jis mein jalwat, khalwat mein woh ada ho
manoos is qadar ho surat se meri bulbul
nanhe se dil mein uske khatka na khuch mera ho
saff bandhey dono janib botay hare hare hon
nadi ka saaf pani tasveer le raha ho
ho dil fareeb aisa kehsaar ka nazara
pani bhi mauj bann ke uth uth ke dekhta ho
aaghosh mein zameen ki soya howa ho sabza
phir phir ke jhadiyon mein pani chamak raha ho
pani ko choo rahi ho jhuk jhuk ke gul ki tehni
jaise haseen koi aayeena dekhta ho
mehndi lagaye sooraj jab shaam ki dulhan ko
surqi liye sunehri har phool ki quba ho
raaton ko chalne waale reh jaaye thak ke jis dum
umeed unki mera toota howa diya ho
bijli chamak ke unko kutiya meri dikha de
jab aasmaan pe har sau badal ghira howa ho
pichle pehar ki koyal, woh subah ki mu'zan
main uska humnawa hoon, woh meri humnawa ho
kanon pe na ho mere dair o haram ka ehsaan
rozan hi jhonpadi ka mujhko sehar numa ho
phoolon ko aaye jis dum shabnam wuzu karane
rona mera wuzu ho nala meri dua ho
is khamoshi mein jaayein itne buland naale
taaron ke qafile ko meri sada da'ra ho

 


click "Back" to read previously added poetry, click "Next" to read newly added poetries.
Category: Allama Iqbaal | Views: 148084 | Added by: Alien | Rating: 5.0/1 |

Tell about this poetry to your friends:

Total comments: 0
comment on this poetry
Only registered users can add comments.
[ Registration | Login ]

Urdu-Forum News

Find me the best price flight! Find me the best price hotel! Find me the best travel package!


Copyright MyCorp © 2024
Free Universal Web Directory Submission
Counter

All the contents provided on this site are views of the respective authors and poets, the publisher of this site may or may not have the same views on each and every thing.