لگتا نہیں ہے جی میرا اُجڑے دیار میں
کس کی بنی ہے عالمِ ناپائیدار میں
بُلبُل کو پاسباں سے نہ صیاد سے گلہ
قسمت میں قید لکھی تھی فصلِ بہار میں
اِن حسرتوں سے کہہ دو کہیں اور جا بسیں
اتنی جگہ کہاں ہے دلِ داغدار میں
اِک شاخ گل پہ بیٹھہ کے بُلبُل
کانٹے بِچھا دیتے ہیں دل لالہ زار میں
عمرِ دراز مانگ کے لائے تھے چار دِن
دو آرزو میں کٹ گئے، دو اِنتظار میں
دِن زندگی کے ختم ہوئے شام ہوگئی
پھیلا کے پائوں سوئیں گے کنج مزار میں
ہے کِتنا بدنصیب ظفر، دفن کے لئیے
دو گز زمین بھی نہ ملی کوئے یار میں
Lagta nahin hai jee mera ujray dayar mein
Lagta nahin hai jee mera ujray dayar mein
Kis ki bani hai aalam-e-na-payedar mein
Bulbul ko passbaan se na sayyaad se gila
kismat may qaid likhi thi fasl-e-bahaar mein
in hasarataun se kehdo kahin aur jaa basein
Itni jagah kahaan hai dil-i daaghdaar mein
Ek shaaq gull pe baith ke bulbul
kaante bichadetey hain dil-e-lalazaar mein
Umr-i daraaz maang ke laaye they chaar din
Do aarzu mein kat gaye do intezaar mein
Din zindagi ke khatm ho gaye, shaam hogayi
Phaylaake paawon soyein gay kanj mazaar mein
Hai kitna badd naseeb Zafar dafn ke liye
Do gaz zamiin bhii na milii ku-ye yaar mein
(Bahadur shah zafar poetry )