Ghazal by ahmed faraz
Abke hum bichde toh
shayad kabhi khwabon may milein
Jis tarha sookhey howe phool kitabon may milein
Dhoonda ujde howe logon may wafa ke moti
Yeh khazane tujhe mumkin hai kharabon may milein
Ghum-e-duniyaan
bhi ghum-e-yaar may shaamil karlo
Nasha badhta hai sharaabein jo sharaabon may milein
Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain toh kyun itne hijabon may milein
Aaj hum daar pe kheenchey gaye jin baton per
Kya ajab kal woh zamaane ko nisaabon may milein
Ab na mein woh
hoon, na woh tu hai, na woh maazi hai faraaz
Jaise do shaqs tamanna ke saraabon may milein.
<--Back -- Next-->