اپنی شاعڕې؛ غزل ؛ حمد؛ نعت؛کہانیاں وغیرہ اس ویب-سائٹ پر شاٴیع (پوسٹ) کرنا بہت آسان ہے
١) اس ویب-سائٹ پر رجسٹر کریں
٢) "اردو-فورم" سیکشن پر جایئں
٣) اپنی شاعڕې شاٴیع (پوسٹ) کریں
Just 3 simple steps to post your poetry on urdu.ucoz.com
1) Register on urdu.ucoz.com
2) Go to "Urdu-Forum" section.
3) Post your poetry.
(Bismillah) <br /> Allah agar 'kisi ki' hifazat karna chahe to 'usay' <u>Nanhe Musa(a.s)</u> ki tarha Firaun hi ke ghar mein chupa kar firaun hi ke haaton 'uski' hifazat kare, aur agar Allah ko yeh manzoor na ho to Hazrat Imam Hussain(r.a) jaisi shaqsiyat ko bhi na shehar-e-madeena mein rehne ki jagah miley na makkah mein, yahaan tak ke duniya bhar ki zameen ki saari was'atein uun per khatam kar ke un per karbala mein zameen tang kar di jaaye. <br /> Salaam ho imam Hussain(r.a) pe jinhon ne hamein taqdeer per razi aur allah se mohabbat ka sahi matlab sikha diya, salam ho uus Imam Hussain(r.a) pe jo kamzoron ki zehni, roohani aur eemaani taqat bann gaye, salaam ho uus imam hussain(r.a) pe jinhon ne jeet aur haar ke paimaanon ko badal kar rakh diya, salaam ho uus Imam Hussain(r.a) per jinhon ne izzat aur zillat ke maa'non ko badal kar rakh diya. Salaam ho uus Imam Hussain(r.a) per jinhon ne logon ko haq ki taraf palatne ki itni muhallat di yahaan tak ke apna sar tak kata diya. Aye Allah main dunyawee faidey ke liye zaalimon ke saath rahon is se meri hifazat farma, aur agar main hi zaalim hoon to mujhe haq ki taraf palat de kyun ke insaan jaane anjane main zalim hi waqey howa hai. zaalimon mein ho kar dunyawee faida uthane se behtar hai ke mazloom bann kar hi is duniya main rahon aur mazloom bann kar hi is duniya se jaawon aur apne mohsin se milon. (Ameen)
All the contents provided on this site are views of the respective authors and poets, the publisher of this site may or may not have the same views on each and every thing.