urdu poety - great poetry
Agar kaj ro hain anjum; aasmaan tera hai ya mera mujhe fikr-e-jahaan kyun ho, jahaan tera hai ya mera?
agar hungama haye shauq se hai laa makaan khaali khata kis ki hai yaarab! laa makaaan tera hai ya mera?
usey subah inkaar ki jurrat howi kyun kar mujhe maloom kya, woh raazdaan tera hai ya mera?
Muhammed* bhi tera, jibrail bhi, quraan bhi tera magar yeh hurf-e-shireen tarjumaan tera hai ya mera?
isi kokab ki taabaani se hai tera jahaan roshan zawaal adam-e-khaaki ziyaan tera hai ya mera?
*Salallahu alaihi wasallam
|