Urdu Ghazal by Muzaffar Warsi
Labb-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahein
Baat karne ko bhi tasveer ka lehja chaahein.
tu chale saath toh aahat bhi na aaye apni
darmiyaan hum bhi na hon yun tujhe tanha chaahein.
zaahiri aankh se kya dekh sake ga koi
apne baatin pe bhi hum faash na hona chaahein.
jism poshi ko mile chaadar aflaak hamein
sar chupaane ke liye was'at-e-sehra chaahein.
khwaab mein royein toh ehsaas ho sairaabi ka
rait per soyein magar aankh mein darya chaahein.
bhaint chadh jaawon na main apne hi khair-o-shar ki
khoon-e-dil zabt kare zakhm-e-tamasha chaahein.
zindagi aankh se aujhal ho magar khatam na ho
ek jahaan aur pas-e-parda-e-duniyaan chaahein.
aaj ka din toh chalo kat gaya jaise bhi kata
ab khudawand se khairiyat-e-farda chaahein.
aise tairaak bhi dekhe hain muzaffar humne
gharq hone ke liye bhi jo sahaara chaahein.