Urdu ghazal by jigar muradabadi
koi jeeta raha, koi marta hi raha
ishq apna kaam karta hi raha.
jam'a khaatir koi karta hi raha
dil ka sheeraaza bikharta hi raha.
ghum woh maikhaana kami jis may nahi
dil woh paimaana, ke bharta hi raha.
husn toh thak bhi gaya, laikin yeh ishq
kaar-e-maashooqaana karta hi raha.
woh mitaatey hi rahe, laikin yeh dil
naqsh ban ban kar ubharta hi raha.
dhadkane dil ki sabhi kuch keh gayein
dil ko main khaamoosh karta hi raha.
tum ne nazar phair lein toh kya howa
dil may ek nashtar utar ta hi raha.